Woh to yeh kehiye gharri tujh se juda honay ki thi
Warna yeh saa'at jo thi meray Khuda honay ki thi
Tujh ko yeh zid keh main teri aankhon se dekhta
Aur mujhay khawaish teray lab se ada honay ki thi
Meri beenai khas-o-khashaak mousam lay urray
Jisam-o-jaan main to sakat , tujh se riha honay ki thi
Aik chup rehnay kay sab ilzaam mujh par hi na thay
Khamoshi par bhi to tohmat lab-e-kusha honay ki thi
Khilwat-e-jaan main agar aana hai to dastak na day
Mujh se woh bhi kab hui hai jo khata honay ki thi
Main khud apni aag hi main jal bujha to yeh khula
Shart jalnay ki nahin thi keemiya honay ki thi
Roothnay walay ko aakhir kon samjhata Saleem
Yeh bhi koi umar ab is kay khafa honay ki thi
No comments:
Post a Comment