Acha tumharay shaher ka dastoor ho gaya 
Jis ko galay laga liya , woh door ho gaya 
Kaghaz main dab kay mar gaye keeray kitab kay 
Dewana be'parhay likhay mashoor ho gaya 
Mohalon main hum ne kitnay sitaray saja diye
Lakin zameen se chand bhout door ho gaya 
Tanhaiyon ne tor di hum dono ki anaa 
Aaina baat karnay pe majboor ho gaya 
Wadi se kehna us ki kahani sunaye 
Jo baadshah ishq main mazdoor ho gaya 
Subha wisal pooch rahi hai ajab sawal 
Woh paas aa gaya keh bhout door ho gaya 
Kuch phal zaroor ayein gay roti kay pay'ra main 
Jis din mera mutalba manzoor ho gaya 
 
No comments:
Post a Comment