Chalnay ka hosla nahin , rukna mohaal kar diya
Ishq kay is safar ne to mujh ko nidhaal kar diya
Ae meri gul zameen tujhay chah thi ik kitab ki
Ehal-e-kitab ne magar kya tera haal kar diya
Miltay huye dilon kay beech aur tha faisala koi
Us ne magar bichartay waqat aur sawal kar diya
Ab kay hawa kay saath hai daman-e-yaar muntazir
Banu'way shab kay haath main rakhna sambhal kar diya
Mum'kina faisalon main aik , hijar ka faisala bhi tha
Hum ne to aik baat ki , us ne kamal kar diya
Meray labon par mehar thi , par sheesha ru ne to
Shaher kay shaher ko mera waqif-e-haal kar diya
Chehra-o-naam aik saath aaj na yaad aa sakay
Waqat ne kis shabiya ko khawab-o-khayal kar diya
Mudaton baad us ne aaj mujh se koi gila kiya
Munsab-e-dil'bari yeh kya mujh ko ba'haal kar diya
No comments:
Post a Comment