May 24, 2016

Zuban pe tazkara-e-baam-o-dar nahin laata


Zuban pe tazkara-e-baam-o-dar nahin laata 
Watan se koi khabar nama bar nahin laata 

Gulaab ko na yaqeen ho ga jab tak siyaad 
Hawa kay tasht main ik masht par nahin laata 

Yeh raah-e-ishq hai maqtal se ho kay jati hai 
So is safar main koi dil main darr nahin lata 

Tamam bojh to rastay main jam'ma hota hai 
Wir'wad se koi rikhat-e-safar nahin laata 

Main jsi kay dhiyan main pehron udas rehti hoon 
Khayal-e-dil main mera lamha bhar nahin laata 

Sawad-e-shaam ! aseeron main kon shamil hai 
Bila sabab koi nezay pe sar nahin laata 

 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...