Chand nikla hai sar qariya-e-zulmat daikho
Ho gayi kaisi siyah khano ki rangat daikho
Samnay jo hai ussay aankh ka dhoka samjho
In dariyaon ko sada khawab ki surat daikho
Sair hai jaisay koi , aisay jahan se guzro
Door tak phaila hai ik arsa-e-furqat daikho
Khouf deta hai yahan abar main tanha hona
Shaher-e-dar band main dewaron ki kasrat daikho
Zar ki parchaiyan jo parti hai chamak uth'ta hai
Aadam khaak ki be'hoshi main halat daikho
saya un par bhout bhooli hui yadon ka
Shaam aayi hai pari zaron main wehshat daikho
Dagha hai is kay na honay se dilon main ab tak
Urr gaya misal-e-saba , gul ki haqeeqat daikho
Junglon main koi peechay se bula'ey to Munir
Murr kay rastay main kabhi us ki taraf mat daikho
No comments:
Post a Comment