May 31, 2016

Main sun raha hoon ussay jo sunai deta nahin


Main sun raha hoon ussay jo sunai deta nahin 
Main daikhta hoon ussay jo dikhai deta nahin 

Bhout qiyaas ki khawaish safar main aati hai 
Talism sham-e-ghareeban rihai deta nahin 

Hai shouq-e-anjuman araai husan ko bhi , magar 
Majaal is ko gham ro'numai deta nahin 

Wisal arz-o-sama ka samaa hai jaisay koi 
Andhera itna ho , kuch sujhai deta nahin 

Munir khol de barh kar dar diyar-e-nida
Khamosh rehta hai kiyon ab duhai deta nahin

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...