Falak se chand sitaron se jaam lena hai
Mujhay sehar se nayi aik shaam lena hai
Kissay khabar keh farishtay ghazal samjhtay hain
Khuda kay samnay kaafar ka naam lena hai
Mo'amla hai tera bad'tareen dushman se
Meray aziz mohabbat se kaam lena hai
Mehakti zulf se khushbu , chamakti aankh se dhoop
Shabon se jaam , sehar ka salam lena hai
Tumhari chaal ki aahistagi kay lehjay main
Sukhan se dil ko masalnay ka kaam lena hai
Nahin main Mir kay dar par kabhi nahin jata
Mujhay Khuda se ghazal ka kalam lena hai
Baray saleeqay se noton main us ko tulwa kar
Ameer-e-shaher se ab intaqaam lena hai
No comments:
Post a Comment