May 23, 2016

Jab us ki nawazish hoti hai , yeh mo'jaza tab ho jata hai


Jab us ki nawazish hoti hai , yeh mo'jaza tab ho jata hai 
Alfaaz mehaknay lagtay hain , kaghaz bhi adab ho jata hai 

Us ki thokar main hoti hai , sari duniya ki sha'inshahi 
Darbar-e-madeena main jab bhi , dewana talab ho jata hai 

Yeh aag , yeh matti , yeh pani , yeh aanchal ki gul'rez hawa 
Phir kuch nahin rehta apna jab paisa bhi rab ho jata hai 

Baarish kay baad paharon par qaleen bich'ha deta hai Khuda 
Yeh dil ka ujra ray'gistan bhi shaher-e-tarb ho jata hai  

Ik shair ghazal ka duniya ki tanqeed se bala'tar jano 
So matlab is main hotay hain , jo be'matlab ho jata hai 

Pandit , jolaha kehlaya , mann laakh is faqeeri main 
Jis par sona chandi barsay , woh aali nasab ho jata hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...