Galay se apnay lagaye mujh ko
Samait kar apnay bazu'on main
Woh aik bachay ki tarah mujh ko thapak raha tha
Aur apni khawab afreen sar'goshiyon main
mujh se yeh keh raha tha
Abhi na thakna !
Abhi na thakna !
Meray musafir !
Main jaanti hoon
Abhi safar ibtida hua hai
Abhi musafat ki hadd bhi likhi nahin gayi hai
Abhi to jungle main raasta dhoondna paray ga
Abhi to rastay main shaam ho gi
Yeh shaam bhi be'chragh ho gi !
Abhi to sehra ki dhoop main nang'gay paon chalna paray ga mujh ko
Shajar milay ga na sar pe badal ka sayeban koi taan de ga
Teri jhalak ka abhi bhout intizar karna paray ga mujh ko
Abhi to kacchay gharray pe dariya ko paar karna paray ga mujh ko
Meray musafir !
Main jaanti hoon
Safar ki sari sahu'baton ko main jaanti hoon
Magar meri aankh main jo yeh raakh urr rahi hai
Yeh gard jo meray khaal-o-khad par jammi hui hai
Qaba-e-tan tak nahin ruki hai
Shakistagi meri rooh main hai !
Thakan jo pichlay safar ki hai
Meri hadiyon main utar chuki hai !
No comments:
Post a Comment