May 27, 2016

Chara'gar hairan hai




Chara'gar hairan hai 

Tapp se tann jhulsa hua 
Nabz na'humwar , dil dooba hua 
Za'af se sar ik taraf 
Zakham saray taza ro 
Phir bhi chehra phool ki surat mera shadaab hai !

Us ko kya maloom 
Kis shabnam ne us par raat bhar 
Apnay lab rakhay rahay 
Us ko kya maloom  
Kis barish ne us ko sara din 
Apnay hathon par rakha 

Us ko kya maloom 
Ik sehra naseeb 
Ik tawajo ki nazar se kis qadar sairaab hai !
Zindagi ka husan sara 
Rooh ki sari namu 
Ishq ka ijaaz hai !
Khaar se lay kar
Rag-e-gul 
Aur rag-e-jaan se dil janan talak 
Na'miya  ki aik hi quwat baru-e-kaar hai 
Ishq aur us ka fasoon !
"Aag ko gulzar kar sakta hai "
Mout ko inkaar kar sakta hai !


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...