Gila kaisa
Aseer sham-e-tanhai se yeh aakhir gila kaisa
Tujhay to ilm tha zanjeer ka meri
Jo pairon main bhi hai Aur rooh par bhi
Main apnay bakhat ki qaidi hoon
Meri zindagi main
Narm awazon kay jugnoo kam chamaktay hain
Faseel-e-shaher gham par khush sada tahir
kahan aa kar thehrtay hain
Teri awaz ka resham main kaisay kaat sakti thi
Meray bas main agar hota
To sari umar
Is resham se apnay khawab bunti
Aur is rim jhim kay andar bheegti rehti
Tujhay to meray dukh maloom thay Jaana !
Yeh kis lehjay main tu rukhsat hua hai !
No comments:
Post a Comment