Aik Sound proof nazam
Bhout khush shakal hai yeh gahr
Talismi hai fiza is ki
Dareechon ka hai rukh dariya ki janib
Aur darwaze bhi aksar baagh kay pehlu main khultay hain
Aroos-e-no kay khawabon ki tarah naqsheen hai her kamra
Aur is kay wast main Alma'novi sham'mein sehar tak jhil'milati hain
Bhout Aarasta mehmaan khanay main
Talaai Qaab main rakhay huye Asmaar taza , sabz-o-Anabi
Munqish jaam seem'mein main sharab kohar'bai
Aur kaf dehleez se lay kar
Makeeno kay nigarein hujla gaah-e-khawab
Aur dewan khanay tak
Bichhay ghaleecha-e-sheeraz-o-roma
Aap kay qadmon ki aahat is tarah se jazab kartay hain
Keh jaisay khana-e-zaad taaj
Mohalon main chuppay razon ko apnay gang seeno main ,
Makeen sar'goshiyon main baat kartay hain
Sada-e-shaam ka zakhmi prinda
Sheesha-e-dar se barabar sar takraata hai
Lakin baziyabi ki koi surat nahin banti
Dareechon par kabhi Baarish ki nanhi si hatheli ki jhalak
Mujh dikhai de bhi jati hai
Magar dastak nahin aati
Jahan main hoon
Wahan awaz ko rasta nahin milta !
Yahan se aik shab kay faaslay par
Dour-e-azadi ki moorat kay jalo main
Shah'rah-e-sharq awal par
Talismi rang , jadu'wai fiza
Ik aur basti hai
Jahan duniya-e-som kay
Kisi koochay se aatay bain ko
Parwana rah'dari-e-uzma nahin milta
Jahan hum hain
Wahan awaz ko rasta nahin milta !
No comments:
Post a Comment