In dino
Meri apnay aap se bol chal band hai !
Meray andar aik baanjh ghussa
Phunkaarta rehta hai
Na mujhay dasta hai
Na meray gird apni girift dheeli karta hai
Nain'wa ki sar'zameen
Aik baar phir surkh hai
Faraat kay pani par
Abn-e-ziyaad kay taraf daron ka aik baar phir qabza hai
Zameen aur aasman
Aik baar sham'shahay ka lahu
Wasool karnay se inkaari hain
Aur meray chehray par ab mazeed lahu ki jaga nahin !
Fateh foj aur roshni aur aag kay farq ko nahin samjhti !
Sehra ki raat kaatnay kay liye inhein alaao ki zaroorat thi
So unhon ne meray kutab khanay jala diye !
Lakin main ehtijaaj bhi nahin kar sakti
Meray balon main surkh iskaarf bandha hai
Aur meray glaas main coca cola hans raha hai
Meray samnay doller ki haddi pari hui hai !
No comments:
Post a Comment