Yeh chand aur yeh abar-e-rawan guzarta rahay
Jamaal-e-shaam teh aasman guzarta rahay
Bharra rahay teri khushbu se tera sehan-e-chaman
Bas aik mousam-e-ambar fishan guzarta rahay
Sama'atein teray lehjay se phool chunti rahein
Dilon kay saaz pe to naghma khawan guzarta rahay
Khuda karay teri aankhein hamesha hansti rahein
Diyaar-e-waqat se tu shaad'maan guzarta rahay
Main tujh ko daikh na paon to kuch malaal nahin
Kahin bhi ho tu , sitara-e-nishan guzarta rahay
Main maangti hoon teri zindagi qayamat tak
Hawa ki tarah se tu jawidaan guzarta rahay
Mera sitara kahin toot kar bikhar jaye
Falak se tera khat keh'kishan guzarta rahay
Main teri chaon main kuch dair baith loon aur phir
Tamaam raasta be'sayeban guzarta rahay
Yeh aag mujh ko hamesha kiye rahay roshan
Meray wajood se to shola saman guzarta rahay
Main tujh ko daikh sakon aakhri bisarat tak
Nazar kay samnay bas ik saman guzarta rahay
Hamara naam kahin to likha hua ho ga
Mah-o-najoom se yeh khaak'daan guzarta rahay
Main tera saath na de paon phir bhi tera safar
Gulaab-o-khawab kay hi darmiyan guzarta rahay
Main teray seenay pe sar rakh kay waqat bhool gayi
Khayal-e-tezi umar-e-rawan guzarta rahay !
No comments:
Post a Comment