May 22, 2016

Is dar ka dar'baan bana de Ya'Allah


Is dar ka dar'baan bana de Ya'Allah 
Mujh ko bhi sultan bana de Ya'Allah 

In aankhon se teray naam ki baarish ho 
Pathar hoon insan bana de Ya'Allah 

Sehma dil , tooti kashti , charhta dariya 
Her mushkil aasan bana de Ya'Allah 

Main jab bhi chahon jhaank kay tujhay dekh sakon 
Dil ko roshan'daan bana de Ya'Allah 

Mera bacha sada kaghaz jaisa hai 
Ik harf-e-emaan bana de Ya'Allah

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...