May 22, 2016

Jab raat ki tanhai dil ban kay dharakti hai



Jab raat ki tanhai dil ban kay dharakti hai 
Yaadon kay dareechon main chilman si sarakti hai 

Lo'baan main chingari jaisay koi rakh jaye 
Youn yaad teri shab bhar seenay main sulagti hai 

Youn pyar nahin chupta , palkon kay jhukanay se 
Aankhon kay lifafon main tehreer chamakti hai 

Khush'rang prindon kay loat aanay kay din aaye 
Bichray huye miltay hain jab baraf pighalti hai 

Shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamasha hai 
Jis daal pe baithay ho , woh toot bhi sakti hai 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...