Jab saaz ki lay badal gayi thi
Woh raqs ki kon si gharri thi
Ab yaad nahin keh zindagi main
Main aakhri baar kab hansi thi
Jab kuch bhi na tha yahan pe ma'qabal
Duniya kis cheez se bani thi
Mutthi main to rang thay hazaron
Bas haath se rait beh rahi thi
Hai aks , to aaina kahan hai
Tamseel yeh kis jahan ki thi
Hum kis ki zuban boltay hain
Gar zehan main baat doosri thi
Tanha hai agar azal se insan
Yeh bazm-e-kalam kiyon saji thi
Tha aag hi gar mera muqaddar
Kiyon khaak main phir shifa rakhi thi
Kiyon mor badal gayi kahani
Pehlay se agar likhi hui thi
No comments:
Post a Comment