Main us se bhala kahan mili thi
Bas main khawab main khawab dekhti thi
Saya tha koi kinar-e-dariya
Aur shaam ki doobti gharri thi
Kohray main chuppa hua tha jungle
Chiriya kahin door bolti thi
Lipti hui dhund ki rida main
Ik zard gulaab ki kali thi
Ik sabz ghubaar tha fiza main
Baarish kahin saans lay rahi thi
Badal koi chu gaya tha mujh ko
Chehray pe ajeeb taazgi thi
Aankhon main thehar gayi thi shabnam
Aur rooh main narm roshni thi
Kya cheez thi jo meray badan main
Aahista aahista khil rahi thi
Ik geet hawa kay hont par tha
Aur us ki zuban ajnabi thi
Us raat jabeen-e-maah par bhi
Tehreer koi qadeem si thi
Yeh ishq nahin tha is zameen ka
Us main koi baat sar'madi thi
No comments:
Post a Comment