Jo apnay dukh sukh baant sakay hum us ko aurat kehtay hain
Warna her achi surat ko pathar ki moorat kehtay hain
Yeh raam janam bhoomi ka lahu , yeh baab'ri masjid ki laashein
Tum in ko mazhab kehtay ho , hum wehshi siyasat kehtay hain
Is mulak main hindu , muslim , sikh sab pagal hotay jatay hain
Mula , pandit , neta , is ko Allah ki rehmat kehtay hain
Duniya kay ujlay kurtay se hum ne to jutay poonjh liye
Woh shair hain jo ruswai ko apni shohrat kehtay hain
No comments:
Post a Comment