Shaher-e-dil , dhoond rahi hain galiyan
Zulf ki chaal chali hain galiyan
Band darwaze , majlid novel
Daastano se bhari hain galiyan
Kamray , darwaze , dareechay khamosh
Chilmanein taak rahi hain galiyan
" Kaali mohrein " se bhara khat paa kar
Siskiyan bharti rahi hain galiyan
Aik lamhay ko thehr janay do
Mujh ko pehchan rahi hain galiyan
Raat shabnam giri kuch had se siwa
Ya bhout roti rahi hain galiyan
Kon aata hai yahan kis kay liye
Sab ko pehchan gayi hain galiyan
Meray hathon ki lakeeron ki tarah
Aasman par bhi bichhi hain galiyan
Behtay aansu teray daman ki taraf
Shaher ki simt chali hain galiyan
In main mil jayein bhoolay bichray
Dil main aisi bhi kai hain galiyan
"Badr" taarekh kay safhon main nahin
Meri aankhon main basi hain galiyan
No comments:
Post a Comment