Khushi ki baat hai ya dukh ka manzar dekh sakti hoon
Teri awaz ka chehra main chu kar dekh sakti hoon
Abhi teray labon pe zikar-e-fasal-e-gul nahin aaya
Magar ik phool khiltay apnay andar dekh sakti hoon
Mujhay teri mohabbat ne ajab ik roshni bakhshi
Main is duniya ko ab pehlay se behtar dekh sakti hoon
kinara dhoondnay ki chah tak mujh main nahin ho gi
Main apnay gird ik aisa samandar dekh sakti hoon
Khayal aata hai aadhi raat ko jab bhi tera dil main
Utarta aik saheefa apnay ooper dekh sakti hoon
Wisal-o-hijar ab yaksan hain , woh manzil hai ulfat main
Main aankhein band kar kay tujh ko aksar dekh sakti hoon
Abhi teray siwa duniya bhi hai mo'jood is dil main
Main khud ko kis tarah teray barabar dekh sakti hoon
No comments:
Post a Comment