Ik ajeeb ro thi khayal main meray aa gayi
Kisi aur qarn se haal main meray aa gayi
Yeh teri nigah sitara saaz ka hai asar
Yeh jo roshni khad-o-khaal main meray aa gayi
Meri umar nahin dukh main farq para hai yeh
Yeh kami si jo mah-o-saal main meray aa gayi
Woh jawab de kay bhi dair tak raha sochta
Koi baat aisi sawal main meray aa gayi
Teray saath urnay ka soch kar hi main khil gayi
Koi lehar si par-o-baal main meray aa gayi
Kabhi zindagi main munafqat nahin kar saki
Yeh kami bhi fard-o-baal main meray aa gayi
Kabhi peechay nazam kay bhaagna mujhay par gaya
Kabhi khud yeh titri jaal main meray aa gayi
No comments:
Post a Comment