May 24, 2016

Main ne chand dekha




Main ne chand dekha 

Main ne chand dekha 
Aur na koi teh'neet ka phool khirki se uthaya 
Mera malboos ab bhi mal'gaja hai 
Hina se haath khaali 
Aur churi se kalai 
Na meray paas thay tum 
Aur na meray shaher se guzray 
Main kya afshan lagati 
Maang main sindoor bharti 
Rang aur khushbu pehanti 
Chand ki janib nazar karti 
Keh meri lazat-r-deedar to tum ho !
Mera teh'waar to tum ho !

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...