Pehlay bhi yeh dil hijar se be'haal hua hai
Pehlay bhi bicharnay ki saza pai hai is ne
Rukhsat ki aziyat main jo shiddat hai , sahi hai
Aya hai bhout yaad kisi chasham ka jadu
Khud se bhout aayi kisi malboos ki khushbu
Kheencha hai bhout qalb ko guzray huye kal ne
Din bhar kabhi doori ne zabun haal rakha hai
Rukhsat ki gharri thehar gayi rooh main jaisay
Is baar jo aaya hai magar , hijar ka mousam
Is main dil-e-beemaar ki wehshat hi alag hai
Matti se judai ki hikayat hi alag hai
Kuch dair ki ta'kheer jo hoti hai watan se
Lagta hai keh ab jaan nikal jaye gi tan se !
No comments:
Post a Comment