Patt jhar se gila hai na shikayat hawa se hai
Phoolon ko kuch ajeeb mohabbat hawa se hai
Sar'shari shagutagi gul ko kya khabar
Mansoob ik aur hikayat hawa se hai
Rakha hai aandhiyon ne hi hum ko kasheeda sar
Hum woh chragh hain jinhein nisbat hawa se hai
Is ghar main tairagi kay siwa kya rahay jahan
Dil sham'ma par hain aur ira'daat hawa se hai
Bas koi cheez hai keh sulagti hai dil kay paas
Yeh aag woh nahin jissay sohbat hawa se hai
Sar sar ko izn ho jo saba ko nahin hai baar
Kanj qafas main zeest ki surat hawa se hai
Gul chain ko hi kharaam saba se nahin hai khaar
Ab kay to baagh'ban ko adawat hawa se hai
Khushbu hi rang bharti hai tasveer-e-baagh main
Bazam-e-khabar main gul ki siyadat hawa se hai
Dast-e-shajar main rakhay keh aa kar bakhair de
Aain-e-gul main khaas riya'at hawa se hai
Ab kay bahar dekhiye kya gul khilaye gi
Dil'daad'gaan-e-rang ko wehshat hawa se hai
No comments:
Post a Comment