May 23, 2016

Woh thak'ka hua meri baanhon main zara so gaya tha to kya hua


Woh thak'ka hua meri baanhon main zara so gaya tha to kya hua 
Abhi main ne dekha hai chand bhi kisi shaakh-e-gul pe jhuk'ka hua 

Meray saath sada raha woh meri nazar se chup'pa hua  
Yeh ajeeb hijar-o-wisal hai , na kabhi mila , na juda hua 

Koi phool dhoop ki patiyon main harray ribon se bandha hu a
Woh ghazal ka lehja naya naya , na kaha hua , na suna hua 

Jissay lay gayi hai abhi hawa woh warq tha dil ki kitab ka 
Kahin aansu'on se mitta hua , kahin aansu'on se likha hua 

Kai meel rait ko kaat kar koi moj phool khila gayi 
Koi pairr pyas se mar raha hai nadi kay paas kharra hua

Mujhay haadson ne saja saja kay bhout haseen bana diya 
Mera dil bhi jaisay dulhan ka haath ho mehandiyon se racha hua 

Wohi shaher hai wohi raastay , wohi ghar hai aur wohi lawn bhi 
Magar is dareechay se poochna , woh darakht-e-anaar ka kya hua

Meray saath jugnoo hai aur jugnoo ki is safar main bisaat kya 
Yeh chragh koi chragh hai na jala hua na bujha hua 

Wohi khat keh jis pe jaga jaga do mehaktay honton kay chand thay 
Kisi bhooli bisri si taaq par teh gard ho ga daba hua

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...