Sawad-e-zindgani main
Ik aisi shaam aati hai
Keh jis kay sur'mai aanchal main
Koi phool hota hai
Na hathon main koi tara !
Jo aa kar bazu'on main thaam lay
Phir bhi
Rag-o-pay main koi aahat nahin hoti
Kisi ki yaad aati hai
Na koi bhool pata hai
Na koi gham sulagta hai
Na koi zakham silta hai
Galay milta hai koi khawab
Koi tamana haath malti hai
Sawad-e-zindgani main
Ik aisi shaam aati hai
Jo khaali haath aati hai !
No comments:
Post a Comment