Yeh meray haath ki garmi
Yeh meray haath ki garmi
Jissay chu kar
Tumhari aankh main hairat kay doray hain
Keh is se qabal jab bhi tum ne mera haath thaama
Baraf ka mousam hi paya tha
Yeh mousam meray andar kitnay barson se faro'kash tha
Bahar aati thi
Aur meray dareechon par kabhi dastak na deti thi
Gulabi barishein
Meray liye mam'nu thein
Aur subha ka taza hawa ka zaiqa
Main bhool baithi thi
Meray malboos se sab garm rangon ko shikayat thi
Mujhay bas barf ki chadar peh'nanay ki ijazat thi
Magar jaana !
Tumharay saath ne to rooh ka mousam badal dala
Yahan ab rang ka tehwaar hai
Khushbu ka mela hai
Mera malboos ab gehra gulabi hai
Meray khawabon ka chehra mah'tabi hai
Meray hathon ki hid'dat Aaftabi hai
Jissay chu kar ......
No comments:
Post a Comment