May 22, 2016

Ta'laab be'chamak hain , jahan machliyan na hon


Ta'laab be'chamak hain , jahan machliyan na hon 
Akhbar be'maza hai , agar surkiyan na hon 

Main poochta hoon meri gali main woh aaye kiyon 
Jis dakiyea (Postman) kay paas teri chithiyan  na hon 

Hum ko baray khaloss se mar jana chahiye 
Jab zindagi main thori bhi dushwariyan na hon 

Is aag ko Khuda meri jhugi se door rakh 
Jis aag main mehakti hui rotiyan na hon 

Aansu bhout eham hain , in aankhon kay wastay 
Woh aasman nahin hai , jahan badliyan na hon 

Larkay hain apnay baap ki jageer kay raqeeb 
Woh ghar bhi koi ghar hai jahan larkiyan na hon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...