Teer hai aur na talwar insaan hai
Pyar kar , pyar hi pyar insaan hai
Jo mohabbat se lay usi kay liye
Jaan denay ko tayar insaan hai
Ik ghar kitnay hison main taqseem hai
Apni raahon ki dewaar insaan hai
Yeh zameen aasmano ko chooti hui
Aur majboor , la'chaar insaan hai
Apni zanjeer main khud hi jakra hua
Aap apna giraftaar insaan hai
Tum bhi bazar ho , hum bhi bazar hain
Aaj apna kharidaar insaan hai
Dushmano se bara apna dushman bana
Apni gardan pe talwaar insaan hai
Dosron kay diyon ko bujhata hua
Roshni ka talab'gaar insaan hai
No comments:
Post a Comment