Zamana kuch nahin badla , mohabbat ab bhi baqi hai
Mohabbat zindagi kay baagh main phoolon ki tehni hai
Mohabbat kay iraday moh'jazon se kam nahin hotay
Samandar paar karnay kay liye kaghaz ki kashti hai
Kabhi socha Khuda kay samnay ik roz jana hai
Tera mazhab ghazal hai aur ghazal main butt parasti hai
Kabhi bolo to shehron kay makaan bhi baat kartay hain
Tumharay zehan main to sirf qasbay ki haweli hai
Agar beti ki shadi ho to phir koi nahin dushman
Meri basti ki yeh mukhlis kahawat ab bhi sacchi hai
Teray suraj nikalnay se mera mousam nahin badla
Wohi gehri udasi thi , wohi gehri udasi hai
No comments:
Post a Comment