Tha Mir jin ko shair ka azaar mar gaye
Ghalib tumharay saray taraf'daar mar gaye
Jazbon ki woh sadaqatein marhoom ho gayein
Ehsaas kay naye naye izhaar mar gaye
Tashbeeh-o-ista'ara-o-maz-o-kinaya kya
Paikar taraash shair kay fun'kaar mar gaye
Saqi teri sharab bara kaam kar gayi
Kuch raastay main , kuch pas-e-dewar mar gaye
Taqdees dil ki asiyan nigari kahan gayi
Shayed ghazal kay saray gunah'gaar mar gaye
Shairon main ab jihaad hai , roza nimaz hai
Urdu ghazal main tanay thay kufaar mar gaye
Akhbaar ho rahi hai ghazal ki zuban ab
Apnay shaheed 8 , udher 4 mar gaye
Misron ko hum ne nara-e-takbeer kar diya
Geeton kay pukhta kaar gulu'kaar mar gaye
Asloob takhat itna garajdaar ho gaya
Mehdi hassan kay hashiya bar'daar mar gaye
Tanqeedi istalahon kay mushtaq sheh'sawar
Ghoron pe dor'ray aaye sardaar mar gaye
Naaz-o-ada se machliyan ab hain ghazal sara
Tehmad pakar kay sahib-e-dastaar mar gaye
Ya'Rab talism-e-hosh raha hai mushaira
Jin ko nahin bulaya , woh gham khawar mar gaye
No comments:
Post a Comment