May 23, 2016

Udas aasman hai , dil mera kitna akela hai


Udas aasman hai , dil mera kitna akela hai 
Prinda shaam kay pal par bhout khamosh baitha hai 

Main jab so jaon in palkon pe apnay hont rakh dena 
Yaqeen aa jaye ga , palkon talay bhi dil dharakta hai 

Tumharay shaher kay saray diye to so gaye kab kay 
Hawa se poochna , dehleez pe yeh kon jalta hai 

Agar fursat milay pani ki tehreeron ko parh lena 
Her ik dariya hazaron saal ka afsana likhta hai 

Kabhi main apnay hathon ki lakeeron se nahin uljha 
Mujhay maloom hai qismat ka likha bhi badalta hai 

Phir is kay baad tanhai pa'rakhti hai musafir ko 
Jahan tak roshni hai apna saya saath deta hai 

Samandar paar kar kay jab main aaya dekhta kya hoon 
Hamaray do gharon kay beech sanaton ka dariya hai 

Makan se kya mujhay lena , makan tum ko mubarak ho 
Magar yeh ghaas wala reshmi qaleen mera hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...