Waqat-e-rukhsat aa gaya , dil phir bhi ghabraya nahin
Us ko hum kya kho'ein gay jis ko kabhi paya nahin
Zindagi jitni bhi hai ab mustaqil sehra main hai
Aur is sehra main tera door tak saya nahin
Meri qismat main faqat dard teh-e-sagar hi hai
Awal shab jaam meri simat woh laya nahin
Teri aankhon ka bhi kuch halka gulabi rang tha
Zehan ne meray bhi ab kay dil ko samjhaya nahin
Kaan bhi khaali hain meray aur dono haath bhi
Ab kay fasal-e-gul ne mujh ko phool pehnaya nahin
No comments:
Post a Comment