May 24, 2016

Yeh kaisa Khal'la hai jo khawabon kay rastay meri rooh main aa gaya hai


Yeh kaisa Khal'la hai 

Yeh kaisa Khal'la hai 
Jo khawabon kay rastay meri rooh main aa gaya hai 
Main jis phool ban main 
Harri ghaas par titliyan chun rahi thi 
Woh garsh'giya meray qadmon se kaisay juda ho gaya 
Main jis aasman kay  
Sitaron main apna sitara alag kar rahi thi 
Woh taron bharri chatt(roof) meray sar se kiyon hat gayi 
Zameen par hoon aur main na zer-e-falak 
Na dharka hai dil ko na koi kasak 
Teray saath hoon aur na teray baghair 
Jiye jaa rahi hoon main apnay baghair



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...