May 22, 2016

Yeh khal'la hai arsh-e-bareen nahin , kahan paon rakhon zameen nahin


Yeh khal'la hai arsh-e-bareen nahin , kahan paon rakhon zameen nahin 
Teray dar pe sajday ka shouq hai , jo yahan nahin to kahin nahin 

Kisi butt trash ne shaher main mujhay aaj kitna badal diya 
Mera chehra mera nahin raha , yeh jabeen bhi meri jabeen nahin 

Hai zaroor is main bhi maslihat , woh jo hans kay poochay hai khairiyat 
Keh mohabbaton main gharz na ho , nahin aisa pyar kahin nahin 

Wahin dard-o-gham ka gulab hai , jahan koi khana khrab hai 
Jissay jhuk kay chand na choom lay , woh mohabbaton ki zameen nahin 

Teri zulf zulf sajaon kya , tujhay khawab khawab dikhaon kya 
Main safar se loat kay ayon , mujhay khud bhi is ka yaqeen nahin

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...