Aasman ik saya jaisay khali hathon par
Aur zameen ik maar khaak ka qeemti dhaton par
Sood-o-ziyan kay andeshay bhi is ki bazam main thay
Warna yaqeen aur hum kar letay us ki baton par
Poora bagh damak utha tha gehri roshni main
Rang-e-barq safar main tha bheegi barsaton par
Sanata jungle ki tarah hai in dewaron ka
Dushman ka dhoka hota hai shaher ki raaton par
Jisam ka khoon simat aaya tha dar'ri nigahon main
Zar ki zardi khundi hui thi peelay maathon par
Mujhay Munir afsos hua hai kar kay yaad ussay
Kabhi kabhi dukh bhi hota hai guzri baton par
No comments:
Post a Comment