Main pal do pal ka shair hoon
Pal do pal meri kahani hai
Pal do pal meri hasti hai
Pal do pal meri jawani hai
Mujh se pehlay kitnay shair
Aye aur aa kar chalay gaye
Kuch aahein bhar kar loat gaye
Kuch naghmay gaa kar chalay gaye
Woh bhi ik pal ka qissa thay
Main bhi ik pal ka qissa hoon
Kal tum se juda ho jaon ga
Jo aaj tumhara hissa hoon
Main pal do pal ka shair hoon
Kal aur ayein gay naghmon ki
Khilti kaliyan chun'nanay walay
Mujh se behtar kehnay walay
Tum se behtar sun'nanay walay
kal mujh ko koi yaad karay
Kiyon mujh ko koi yaad karay
Masroof zamana meray liye
Kiyon waqat apna barbaad karay
Main pal do pal ka shair hoon
Pal do pal meri kahani hai
No comments:
Post a Comment