Ab kay rutt badli to khushbu ka safar daikhay ga kon
Zakham phoolon ki tarah mehkein gay par daikhay ga kon
Daikhna sab raqs-e-bismal main magan ho jayein gay
Jis taraf se teer aaye ga udhar daikhay ga kon
Zakham jitnay bhi thay sab mansoob qaatil se huye
Teray haathon kay nishan ae chara gar daikhay ga kon
Woh hawas ho ya wafa ho baat mehroomi ki hai
Log to phal phool daikhein gay shajar daikhay ga kon
Meri awazon kay saaye meray baam-o-dar pe hain
Meray lafzon main utar kar mera ghar daikhay ga kon
Hum chragh-e-shab hi jab thehray to phir kya sochna
Raat thi kis ka muqadar aur sehar daikhay ga kon
Aa faseel-e-shaher se daikhein ghaneem-e-shaher ko
Shaher jalta ho to tujh ko baam par daikhay ga kon
Her koi apni hawa main mast phirta hai Faraz
Shaher-e-na'pursan main teri chasham-e-tar daikhay ga kon
No comments:
Post a Comment