Ae Khuda jo bhi mujhay pand-e-shakeebai de
Us ki aankhon ko meray zakham ki gehraai de
Teray logon se gila hai meray aaino ko
In ko pathar nahin deta to beenai de
Jis kay eema pe kiya tark-e-taluq sab se
Ab wohi shakhs mujhay tahna-e-tanhai de
Yeh dehan zakham ki surat hai meray chehray par
Ya meray zakham ko bhar , ya mujhay go'yaai de
Itna be'sarfa na jaye meray ghar ka jalna
Chasham-e-giriyan na sahi chasham-e-tamashai de
Jin ko pay'rahan-e-toqeer-o-sharf bakhsha hai
Woh bar'hana hain unhein khil'at-e-ruswai de
Kya khabar tujh ko keh kis wazah ka bismal hai Faraz
Woh to qaatil ko bhi ilzaam-e-maseehai de
No comments:
Post a Comment