Ab kis ka jashan manatay ho !
Ab kis ka jashan manatay ho
Us dais ka jo taqseem hua
Ab kis ka geet sunatay ho
Us tann mann ka jo do neem hua
Us khawab ka jo reza reza
In aankhon ki taqdeer hua
US naam ka jo tukray tukray
Galiyon main be'touqeer hua
Us parcham ka jis ki hurmat
Bazaron main neelaam hui
Us matti ka jis ki hurmat
Mansoob adu kay naam hui
Us jang ka jo tum haar chukay
Us rasam ka jo jaari bhi nahin
Us zakham ka jo seenay pe na tha
Us jaan ka jo wari bhi nahin
Us khoon ka jo bad'qismat tha
Rahon main bahaya tann main raha
US phool ka jo be'qeemat tha
Aangan main khilaya ban main raha
Us mashriq ka jsi ka tum ne
Nezay ki anni marham samjha
Us maghrib ka jis ko tum ne
Jitna bhi loota kam samjha
Un masoomon ka jin kay lahu
Se tum ne farozan raatein kein
Ya un mazlumon ka jin se
Khanjar ki zuban main batein kein
Us mariyam ka jsi ki iffat
Lut'ti hai bharray bazaron main
Us Esa ka jo qatil hai
Aur shamil hai gham khawaron main
Un noha garon ka jinhon ne hamein
Khud qatil kiya khud rotay hain
Aisay bhi kahin dam'saaz huye
Aisay jalaad bhi hotay hain
Un bhookay nangay dhanchon ka
Jo raqs sar-e-bazar karein
Ya un zalim qaza'qon ka
Jo bhais badal kar waar karein
Ya un jhootay iqra'ron ka
Jo aaj talak eefa na huye
Ya un be'bas la'charon ka
Jo aur bhi dukh ka nishana huye
Us shahi ka jo dast-ba-dast
ayi hai tumharay hissay main
Kiyon nang-e-watan ki baat karo
Kya rakha hai is qissay main
Aankhon main chupaye ashkon ko
Honton pe wafa kay bol liye
Us jashan main , main bhi shamil hoon
Nohon se bharra kash'kol liye
No comments:
Post a Comment