Jun 12, 2016

Abar-e-bahar ab kay bhi barsa parray parray


Abar-e-bahar ab kay bhi barsa parray parray 
Gulshan ujaar ujaar hain  jungle harray harray 

Janay yeh tishnagi hai hawas hai keh khud'kushi 
Jaltay hain shaam hi se jo saghar bharray bharray 

Hai dil ki mout ehad-e-wafa ki shakistagi 
Phir bhi jo koi tark mohabbat karay karay 

Ab apna dil bhi shaher-e-khamoshan se kam nahin 
Sun ho gaye hain kaan sada par dharray dharray 

Rehtay hain ehal-e-shaher kay saa'iye se door door 
Hum aahu in dasht ki surat darray darray 

Gul ban kay phoot'ta hai lahu shaakh'saar se 
Zakham rag-e-bahar hain pattay harray harray 

Zinda dilaan-e-shaher ko kya ho gaya Faraz
Aankhein bujhi bujhi hain to chehray marray marray 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...