Jun 9, 2016

Apnay seenay se lagaye huye umeed ki laash


Apnay seenay se lagaye huye umeed ki laash 
Mud'daton zeest ko na'shaad kiya hai main ne 

Tu ne to aik hi sadmay se kiya tha do chaar 
Dil ko her tarah se bar'baad kiya hai main ne

Jab bhi rahon main nazar aye hareeri malboos 
Sard aahon main tujhay yaad kiya hai main ne 

Aur ab jab keh meri rooh ki pinhaai main 
Aik sun'saan si maghmoom ghatta chaai hai 

Meri mehboob , yeh hungama-e-tajdeed-e-wafa 
Meri afsurda jawani kay liye raas nahin 

Main ne jo phool chunay teray qadmon kay liye 
Un ka dhundla sa tasawur bhi meray paas nahin 

Aik yak basta udasi hai dil-o-jaan pe mohaat 
Ab meri rooh main baqi hai na umeed na josh 

Reh gaya dab kay garaan baar sala'sal kay talay 
Meri dar'manda jawani ki umangon ka kharosh  

Reg'zaron main bagolon kay siwa kuch bhi nahin 
Saya-e-abar-e-gurezan  se mujhay kya lena 

Bujh chukay hain meray seenay main mohabbat kay kanwal 
Ab teray husan-e-pash-e-maan se mujhay kya lena 

Teray aariz pe yeh dhalkay huye seemi aansu 
Meri afsurdagi-e-gham ka madawa to nahin

Teri mehboob nigahon ka payam-e-tajdeed 
Ik talaafi hi sahi meri tamana to nahin 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...