Khilwat-o-jalwat main tum mujh se mili ho baar'ha
Tum ne kya daikha nahin , main muskura sakta nahin
Main keh mayoosi meri fitrat main daakhil ho chuki
Jabar bhi khud par karon to gun'guna sakta nahin
Mujh main kya daikha keh tum ulfat ka dam bharnay lagein
Main to khud apnay bhi koi kaam aa sakta nahin
Rooh afza hai junoon-e-ishq kay naghmay magar !
Ab main in gaa'iye huye geeton ko gaa sakta nahin
Main ne daikha hai shakist saaz ulfat ka samaa
Ab kisi tehreek par bar'bat utha sakta nahin
Dil tumhari shiddat-e-ehsaas se waqif to hai
Apnay ehsa'saat se daman chura sakta nahin
Tum meri ho kar bhi be'gana pao gi mujhay
Main tumhara ho kar bhi tum main samaa sakta nahin
Gaa'iye hain main ne khaloos-e-dil se bhi ulfat kay geet
Ab riya 'kaari se bhi chahon to gaa sakta nahin
Kis tarah tum ko bana loon main shareek-e-zindagi
Main to apni zindagi ka baar utha sakta nahin
Yaas ki tareekiyon main doob janay do mujhay
Ab main sham'ma-e-aarzu ki lo barha sakta nahin
No comments:
Post a Comment