Barson kay baad daikha , ik shakhs dil'ruba sa
Ab zehan main nahin hai par naam tha bhala sa
Aabru khichay khichay se aankhein jhuki jhuki si
Baatein ruki ruki si lehja thaka thaka sa
Alfaaz thay keh jugnu awaz kay safar main
Ban jaye junglon main jis tarah raasta sa
Khawabon main khawab us kay yaadon main yaad us ki
Neendon main ghull gaya ho jaisay keh rat'jaga sa
Pehlay bhi log aaye kitnay hi zindagi main
Woh her tarah se lakin auron se juda sa
Agli mohabbaton ne woh nu'muradiyan dein
Taza rafaqaton se dil tha dara dara sa
Kuch yeh keh muddaton se hum bhi nahin thay roye
Kuch zehar main bujha tha ehbaab ka dilaasa
Phir youn hua keh sawan aakhon main aa basay thay
Phir youn hua keh jaisay dil bhi tha aabla sa
Ab sach kahein to yaaro hum ko khabar nahin thi
Ban jaye ga qayamat ik waqiya zara sa
Taiwar thay be'rukhi kay andaz-e-dosti kay
Woh ajnabi tha lakin lagta tha aashna sa
Hum dast thay keh dariya hum zehar thay keh amrat
Na'haq tha Zoham hum ko jab woh nahin tha payasa
Hum ne bhi us ko daikha kal shaam ita'faaqan
Apna bhi haal hai ab logo faraz ka sa
No comments:
Post a Comment