Her tamashai faqat sahil se manzir daikhta
Kon dariya ko ulat'ta kon gohar daikhta
Woh to duniya ko meri dewangi khush aa gayi
Teray hathon mian wagarna pehla pathar daikhta
Aankh main aansu jarray thay par sada tujh ko na di
Is tawaqo par keh shayed tu palat kar daikhta
Meri qismat ki lakeerain meray hathon main na thein
Teray maathay par koi mera muqaddar daikhta
Zindagi phaili hui thi shaam-e-hijran ki tarah
Kis ko itna hosla tha kon jee kar daikhta
Doobnay wala tha aur sahil pe chehron ka hajoom
Pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar kar daikhta
Tu bhi dil ko ik lahu ki boond samjha hai Faraz
Aankh agar hoti to qatray main samandar daikhta
No comments:
Post a Comment