Sehar kay suraj
Sehar kay suraj
Main ro raha hoon
Keh mera mashriq lahu lahu hai
Woh mera mashriq
Jo mera bazu hai mera dil hai meri namu hai
Jo meray atraaf ka nishan
Meri aabru hai
Lahu lahu hai
Sehar kay suraj
Main nisf tareek
Nisf roshan hoon
Kya hua hai
Tujhay ghunn lag gaya
Keh mera wajood tukron main batt gaya hai
Teri shua'on ka noor andheron main ghatt gaya hai
Keh aaj her rishta-e-rafaqat hi katt gaya hai
Sehar kay suraj
Main apnay paikar ki nisf tasveer ho gaya hoon
Main aap hi aaj apni tehqeer ho gaya hoon
Main ism-e-sagheer ho gaya hoon
Main apna aadha badan liye kis taraf ko jaon
Kissay dikhaon
Yeh sheesha-e-jaan ki kirchiyan
Apnay khawab rezay kahan chupa'on
Main apni wahiddat kahan se laon
Sehar kay suraj
Sitam ki aandhi rukay
To main yeh ujaar aankhein jhapak sakon ga
Sis'sak sakon ga
Lahu ki baarish thamay
To main is dukhi badan ko thapak sakon ga
Abhi to main jaan'kani kay dohray azaab main hoon
Jo bujh chukay woh chragh daikhon
Keh apnay maathay ka dagh daikhon
Sehar kay suraj
Meri nazar main to in rafeeqon kay qaaflay hain
Jo ghar se niklay thay sar uthaye qadam jamaye
Jo muntazir thay
Keh rizam gaah-e-talab bulaye
Jo aazmaish ki her gharri main
Yaqeen ki mish'alein jalaye
Watan ki na'moos kay liye
Be'shumaar bazu ilam uthaye
Rawan huye thay yeh ehad kar kay
Keh in ki jaanein rahein , keh jayein
Magar wafa par na harf aaye
Sehar kay suraj
Meri nazar main in hi rafeeqon kay qaaflay hain
Keh jin ka pindaar reza reza
Keh jin kay maathay arq arq hain
Jo pa'zanjeer
Munfa'ilgardanein jhukaye
Adu kay narghay main
In andheron ki sar'zameen ki taraf rawan hain
Jahan haqarat kay ta'an
Nafrat kay sang
Ruswaiyon kay bazar
Muntazir hain
Sehar kay suraj
Yeh main na daikhon
Yeh tu na daikhay
Yeh jaan'nisaron , shaheed yaron ka cham'chamata lahu na daikhay
Yeh main na daikhon
Yeh tu na daikhay
No comments:
Post a Comment