Apnay liye to bas edhi tha (Abdul Sattar Edhi)
Deed tha shayed
Zakhmon pe phaya rakhta tha
Tees uthay ya ghaao pukaray
Dard samait kay lay jata tha
Nahin nahin koi paremi tha
Adam zaad se preet lagaye
Her pal yaar ki chahat main gum
Mann main pyar ka deep jalaye
Apnay nagar ka raja tha kya !
Daikh raikh janta ki karna
Her ghaao pe phaya dharna
Aas umeed dilon main bharna
Lagta hai keh dewana tha
Sab se pyar sabhi se chahat
Bair se aur nafrat se nafrat
Sab ki khatar chain aur rahat
Waid tha , raja tha , paremi tha
Tha darwaish , koi sufi tha
Kitnay roop thay woh jo bhi tha
Apnay liye to bas edhi tha
Khidmat hi meraas hai us ki
Hum'dardi hai us ka wirsa
Tarka us ka hai gham khawari
Aur hum saray us ka kumba
Ayo , hum waris ban jayein
Jitna bhi hi jis kay bas main
Utna to dukh dard mita'ein
Zakhmon par hum rakhein marham
Andheron main deep jalayein
No comments:
Post a Comment