Jul 22, 2016

Teri qeemat ghat'tai jaa rahi hai


Teri qeemat ghat'tai jaa rahi hai 
Mujhay furqat sikhai jaa rahi hai 

Yeh hai tameer-e-duniya ka zamana 
Havaili dil ki dhaai jaa rahi hai 

Woh shay jo sirf hindustan ki thi 
Woh pakistan laai jaa rahi hai 

Kahan ka deen , kaisa deen , kya deen 
Keh kya garr barr machaai jaa rahi hai 

Sha'oor-e-aadmi ki sar'zameen tak 
Khuda ki ab do'haai jaa rahi hai 

Bhout si suratein manzir main laa kar 
Tamana aazmaai jaa rahi hai 

Mujhay ab hosh aata jaa raha hai 
Khuda teri khudaai jaa rahi hai 

Nahin maloom kya sazish hai dil ki 
Keh khud hi maat khaai jaa rahi hai 

Hai veerani ki dhoop aur aik aangan 
Aur us par lu chaalai jaa rahi hai  

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...