Jab hum kahin na hon gay tab shaher bhar main hon gay
Ponchay gi jo na us tak hum us khabar main hon gay
Thak kar girein gay jis dam banhon main teri aa kar
Us dam bhi kon janay hum kis safar main hon gay
Aye jaan-e-ehad-o-paymaan , hum ghar basa'ein gay haan
Tu apnay ghar main ho ga , hum apnay ghar main hon gay
Main lay kay dil kay rishtay ghar se nikal chuka hoon
Deewar-o-dar kay rishtay , deewar-o-dar main hon gay
Tujh aks kay siwa bhi Aye husan waqat-e-rukhsat
Kuch aur aks bhi to is chashm-e-tar main hon gay
Aisay saraab thay woh aisay thay kuch keh ab bhi
Main aankh band kar loon tab bhi nazar main hon gay
Us kay naqoosh-e-paa ko raahon main dhoondna kya
Jo us kay zer-e-paa thay woh meray sar main hon gay
Woh baish-tar hain jin ko kal ka khayal kam hai
Tu ruk sakay to hum bhi in baish-tar main hon gay
Aangan se woh jo pichlay dalaan tak basay thay
Janay woh meray saa'iye ab kis khandar main hon gay
No comments:
Post a Comment